Tumse mili to pata chala pyaar kya hai
Yun to hazaron ladko ko reject kiya par tumse mili to pata chala pyaar kya hai
Yun to mujhe nazron ki bhasha nahi aati
Pr tumne sikhaya ki naino ki taqraar kya hai
Jo likh saku wo to bas jazbaat hai
agar smjh na paaye tum to kya hi baat hai
Ishaare to humne bhi tumhe khoob diye
Pr tum to bas apne kahaylo me doob gaye
Lafzon se keh na paayi isliye message bhi Kiya
Par tumne to majak samjh ke has ke ignore Kiya
Tumhare sath bitaye pal bahut yaad aate hai
Jab jab sochti hu bas rulate hi Jate hain
Humne socha nahi tha kabhi ye daur bhi aayega
Majburiyon ki wajah se tu mujhe is kadar chhod jayega
Halaat ne bhi kuch is tarah mod liya
Gair to gair apno ne bhi chhod diya
Fir to milna sapna sa ho gaya
Jo chhod gaya sahks wo apna sa ho gaya
Jindagi bhi ab viraan si lagne lagi
Ab apni bhi awaaz kaaton si chubhne lagi
Talaash nahi ab kisi or begerat ki
Hume to bas jarurat hai tumhare mohhobat ki
Ho sake to laut ke jarur aana
Qki tumhare siwa chahat nahi kisi ke aane ki…..
Simran Sharma, A Girl With Lots Of Dreams in 12th Class, Science Stream
Instagram- @simransha.rma